hairat kitab-e-ishq ka paDhna tamam shud
hairat kitāb-e-'ishq kā paḌhnā tamām shud
lekin hai us ke baa'd to jiinā tamām shud
hai lutf-e-harf-o-lazzat-e-tahrīr pe nigāh
mazmūn ḳhat kā dekh hai rishta tamām shud
thā dil meñ ik ḳhayāl na laa.e ba-rū-e-kār
hasrat tamām shud ki tamannā tamām shud
pyāsī hai ruuh 'ishq meñ 'ilm-o-hunar ke yuuñ
pī luuñ jo ghūñT ghūñT ho dariyā tamām shud
ranjish kī nazr ho ga.e chāhat ke sub.h o shaam
qissa huā tamām tamāshā tamām shud
dushvār hai luuñ saañs mukaddar fazā meñ ab
lagne lagā ki ab ke tamāshā tamām shud
ab sochte nahīñ ki ġhalat kyā hai kyā durust
hujjat tamām shud ki aqīda tamām shud
ab tere baa'd ḳhatm hai saarī shaguftagī
rote haiñ zaar zaar ab hañsnā tamām shud
jab bad-gumāniyāñ hoñ to baḌhtī haiñ ranjisheñ
tab do diloñ ke 'ishq kā qissa tamām shud
mushkil hai aa.e saañs mukaddar fazā meñ ab
lagne lagā ki 'shamsa' tamāshā tamām shud
hairat kitab-e-'ishq ka paDhna tamam shud
lekin hai us ke ba'd to jina tamam shud
hai lutf-e-harf-o-lazzat-e-tahrir pe nigah
mazmun KHat ka dekh hai rishta tamam shud
tha dil mein ek KHayal na lae ba-ru-e-kar
hasrat tamam shud ki tamanna tamam shud
pyasi hai ruh 'ishq mein 'ilm-o-hunar ke yun
pi lun jo ghunT ghunT ho dariya tamam shud
ranjish ki nazr ho gae chahat ke subh o sham
qissa hua tamam tamasha tamam shud
dushwar hai lun sans mukaddar faza mein ab
lagne laga ki ab ke tamasha tamam shud
ab sochte nahin ki ghalat kya hai kya durust
hujjat tamam shud ki aqida tamam shud
ab tere ba'd KHatm hai sari shaguftagi
rote hain zar zar ab hansna tamam shud
jab bad-gumaniyan hon to baDhti hain ranjishen
tab do dilon ke 'ishq ka qissa tamam shud
mushkil hai aae sans mukaddar faza mein ab
lagne laga ki 'shamsa' tamasha tamam shud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.