hairaten KHatm huin sehr-e-tamasha TuTa
hairateñ ḳhatm huiiñ sehr-e-tamāshā TuuTā
aao ab lauT chaleñ qufl nazar kā TuuTā
jāgte jāgte kuchh vaqt lagā hai ham ko
TūTte TūTte ik umr kā nashsha TuuTā
ab to itnā bhī nahīñ koī batāne vaalā
kab ye dīvār girī kab ye darīcha TuuTā
koī chīḳhā thā mire jism ke andar ik baar
phir na patthar koī aaya na hī shīsha TuuTā
maiñ na kahtā thā tirā merā hai rishta nāzuk
aañkh ke ek ishāre hī se dekhā TuuTā
noch kar pheñk deñ ye ḳhvāb yahī behtar hai
varna kis kis ko batā.eñge ki kyā kyā TuuTā
vo jo bachcha hai laḌakpan se mire saath 'ziyā'
us ke hāthoñ mirā har ik khilaunā TuuTā
hairaten KHatm huin sehr-e-tamasha TuTa
aao ab lauT chalen qufl nazar ka TuTa
jagte jagte kuchh waqt laga hai hum ko
TuTte TuTte ek umr ka nashsha TuTa
ab to itna bhi nahin koi batane wala
kab ye diwar giri kab ye daricha TuTa
koi chiKHa tha mere jism ke andar ek bar
phir na patthar koi aaya na hi shisha TuTa
main na kahta tha tera mera hai rishta nazuk
aankh ke ek ishaare hi se dekha TuTa
noch kar phenk den ye KHwab yahi behtar hai
warna kis kis ko bataenge ki kya kya TuTa
wo jo bachcha hai laDakpan se mere sath 'ziya'
us ke hathon mera har ek khilauna TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.