halak-e-jafa-o-wafa ho raha hun
halāk-e-jafā-o-vafā ho rahā huuñ
ki ik banda-e-be-ḳhudā ho rahā huuñ
nahīñ ye junūn-e-mohabbat nahīñ hai
maiñ aap aap se āshnā ho rahā huuñ
mirā har qadam naqsh-e-rāh-e-talab hai
tirī raah kā rahnumā ho rahā huuñ
udhar karb kī manzileñ baḌh rahī haiñ
idhar dard-e-dil kī davā ho rahā huuñ
na chheḌo abhī sāz-e-ulfat pe naġhma
abhī apne dil kī sadā ho rahā huuñ
yahī hai yahī sheva-e-ishq hamdam
maiñ ḳhud mubtalā-e-jafā ho rahā huuñ
jabīñ rakh ke saaqī ke qadmoñ meñ 'jauhar'
ḳhudā jaane ab kyā se kyā ho rahā huuñ
halak-e-jafa-o-wafa ho raha hun
ki ek banda-e-be-KHuda ho raha hun
nahin ye junun-e-mohabbat nahin hai
main aap aap se aashna ho raha hun
mera har qadam naqsh-e-rah-e-talab hai
teri rah ka rahnuma ho raha hun
udhar karb ki manzilen baDh rahi hain
idhar dard-e-dil ki dawa ho raha hun
na chheDo abhi saz-e-ulfat pe naghma
abhi apne dil ki sada ho raha hun
yahi hai yahi shewa-e-ishq hamdam
main KHud mubtala-e-jafa ho raha hun
jabin rakh ke saqi ke qadmon mein 'jauhar'
KHuda jaane ab kya se kya ho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.