halka jaan ke sari girani kha jaega
halkā jaan ke saarī girānī khā jā.egā
motī motī aañkh kā paanī khā jā.egā
pake hue siine se ristā kaalā zahr
ye ifrīt to kachchī javānī khā jā.egā
laakh kī chūḌī māthā kundan kar Dālegī
paañv kā pahiyā ruup kahānī khā jā.egā
zar-dānoñ ke biich meñ paltā ghervā naag
pighlī huī sarsoñ kī nishānī khā jā.egā
chhe tarfoñ kī aag pilā.egā sādhū ko
sātveñ samt kā sho.ala giyānī khā jā.egā
halka jaan ke sari girani kha jaega
moti moti aankh ka pani kha jaega
pake hue sine se rista kala zahr
ye ifrit to kachchi jawani kha jaega
lakh ki chuDi matha kundan kar Dalegi
panw ka pahiya rup kahani kha jaega
zar-danon ke bich mein palta gherwa nag
pighli hui sarson ki nishani kha jaega
chhe tarfon ki aag pilaega sadhu ko
satwen samt ka shoala giyani kha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.