halki halki barish mere dil ko yun taDpati hai
halki halki barish mere dil ko yun taDpati hai
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
halkī halkī bārish mere dil ko yuuñ taḌpātī hai
yauvan meñ ik gorī jaise parde meñ chhup jaatī hai
dil se mere ġham ke saa.e aap hī chhaTne lagte haiñ
mausam-e-gul meñ jaise jaise yaad tumhārī aatī hai
kyā sāvan kaisī barsāteñ kyā sakhiyāñ kyā milan kī raat
rotā hai dil taḌap taḌap jab yaad piyā kī aatī hai
jaane kab us se milnā ho soch soch hairān hai dil
aas bhī mere dil kī āḳhir dil hī meñ rah jaatī hai
shaam Dhale baiThe baiThe dil bojhal sā ho jaatā hai
maazī kā ik ik lamha jab yaad tirī dohrātī hai
āzādī ke naam pe 'aurat aa baiThī bāzāroñ meñ
aisī kalī to khilne se kuchh pahle hī murjhātī hai
ham se 'vajāhat' mat pūchho is daur meñ kaise zinda haiñ
rātoñ ko ham jāgte haiñ aur niiñd aksar uḌ jaatī hai
halki halki barish mere dil ko yun taDpati hai
yauwan mein ek gori jaise parde mein chhup jati hai
dil se mere gham ke sae aap hi chhaTne lagte hain
mausam-e-gul mein jaise jaise yaad tumhaari aati hai
kya sawan kaisi barsaten kya sakhiyan kya milan ki raat
rota hai dil taDap taDap jab yaad piya ki aati hai
jaane kab us se milna ho soch soch hairan hai dil
aas bhi mere dil ki aaKHir dil hi mein rah jati hai
sham Dhale baiThe baiThe dil bojhal sa ho jata hai
mazi ka ek ek lamha jab yaad teri dohraati hai
aazadi ke nam pe 'aurat aa baiThi bazaron mein
aisi kali to khilne se kuchh pahle hi murjhati hai
hum se 'wajahat' mat puchho is daur mein kaise zinda hain
raaton ko hum jagte hain aur nind aksar uD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.