halki si bhi kanon mein sada tak nahin aati
halki si bhi kanon mein sada tak nahin aati
Mohammad Ishtiyaaq Aalam
MORE BYMohammad Ishtiyaaq Aalam
halkī sī bhī kānoñ meñ sadā tak nahīñ aatī
gulzār meñ ab bād-e-sabā tak nahīñ aatī
sab bhuul ga.ī jaise sabaq sharm-o-hayā ke
ab sar pe nazar us ke ridā tak nahīñ aatī
kuchh aisī ḳhafā mujh se mirī jaan huī hai
ab haal mirā karne pata tak nahīñ aatī
maiñ us ko manā.ūñ bhī to kis tarah manā.ūñ
batlāne mujhe merī ḳhatā tak nahīñ aatī
taslīm tujhe kaise vafādār maiñ kar luuñ
lahje se tire bū-e-vafā tak nahīñ aatī
har khiḌkī ta.alluq kī muqaffal hai abhī to
kamre meñ mohabbat kī havā tak nahīñ aatī
haiñ hosh meñ pī kar tirī mastāna nazar se
rindoñ ko bahakne kī adā tak nahīñ aatī
kyoñ us se hai ummīd-e-vafā aap ko 'ālam'
jab karnī use mashq-e-jafā tak nahīñ aatī
halki si bhi kanon mein sada tak nahin aati
gulzar mein ab baad-e-saba tak nahin aati
sab bhul gai jaise sabaq sharm-o-haya ke
ab sar pe nazar us ke rida tak nahin aati
kuchh aisi KHafa mujh se meri jaan hui hai
ab haal mera karne pata tak nahin aati
main us ko manaun bhi to kis tarah manaun
batlane mujhe meri KHata tak nahin aati
taslim tujhe kaise wafadar main kar lun
lahje se tere bu-e-wafa tak nahin aati
har khiDki talluq ki muqaffal hai abhi to
kamre mein mohabbat ki hawa tak nahin aati
hain hosh mein pi kar teri mastana nazar se
rindon ko bahakne ki ada tak nahin aati
kyon us se hai ummid-e-wafa aap ko 'alam'
jab karni use mashq-e-jafa tak nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.