hum aae jab to bujha kar charagh-e-dar aae
ham aa.e jab to bujhā kar charāġh-e-dar aa.e
ki aur koī na tanhā.iyoñ ke ghar aa.e
ubhārne ke liye naqsh kūza-gar aa.e
to ḳhud hī uḌ ke mirī ḳhāk-e-chāk par aa.e
jahāñ-jahāñ bhī añdheroñ kī hukmrānī thī
charāġh-e-naqsh-e-qadam ham jalā ke dhar aa.e
fazā-e-dasht se mānūs ho gayā mirā dil
agarche sāmne hir-phir ke bām-o-dar aa.e
na bastiyāñ thiiñ na vo bām-o-dar na vo chehre
hamāre qāfile jis vaqt lauT kar aa.e
ye rishta sang-o-samar kā bahut purānā hai
chale haiñ sang bhī jab shāḳh par samar aa.e
nigāh ḳham jo huī dil jo ḳhāk-e-rāh huā
mire qarīb ka.ī log mo'atabar aa.e
kabhī to mauj-e-suḳhan mehrbāñ ho mere liye
kabhī to haath koī dāna-e-guhar aa.e
ye dasht kyoñ nahīñ detā koī javāb mujhe
ye kyā ki bas mirī āvāz lauT kar aa.e
ajab hai adl kā me.aar us kī bastī meñ
ḳhirad gunāh kare aur junūñ ke sar aa.e
jab us ke aane kī ummīd hī nahīñ 'yāvar'
ab is se kyā mujhe shaam aa.e yā sahar aa.e
hum aae jab to bujha kar charagh-e-dar aae
ki aur koi na tanhaiyon ke ghar aae
ubhaarne ke liye naqsh kuza-gar aae
to KHud hi uD ke meri KHak-e-chaak par aae
jahan-jahan bhi andheron ki hukmrani thi
charagh-e-naqsh-e-qadam hum jala ke dhar aae
faza-e-dasht se manus ho gaya mera dil
agarche samne hir-phir ke baam-o-dar aae
na bastiyan thin na wo baam-o-dar na wo chehre
hamare qafile jis waqt lauT kar aae
ye rishta sang-o-samar ka bahut purana hai
chale hain sang bhi jab shaKH par samar aae
nigah KHam jo hui dil jo KHak-e-rah hua
mere qarib kai log mo'atabar aae
kabhi to mauj-e-suKHan mehrban ho mere liye
kabhi to hath koi dana-e-guhar aae
ye dasht kyon nahin deta koi jawab mujhe
ye kya ki bas meri aawaz lauT kar aae
ajab hai adl ka mear us ki basti mein
KHirad gunah kare aur junun ke sar aae
jab us ke aane ki ummid hi nahin 'yawar'
ab is se kya mujhe sham aae ya sahar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.