hum aaj bahut un ko KHafa dekh rahe hain
ham aaj bahut un ko ḳhafā dekh rahe haiñ
ai shoḳhī-e-taqdīr ye kyā dekh rahe haiñ
ye aap kī pursish kā milā hai hameñ in.aam
kuchh dard-e-mohabbat ko sivā dekh rahe haiñ
pahchān meñ aate nahīñ pahchāne hue log
badlī huī duniyā kī havā dekh rahe haiñ
ham amn ke ghar meñ haiñ magar ye bhī to sach hai
mañDlātī huī sar pe qazā dekh rahe haiñ
kuchh aur sivā ho ga.iiñ be-tābiyāñ dil kī
kyā ḳhuub ye tāsīr-e-duā dekh rahe haiñ
har samt añdherā hai añdherā hai añdherā
phailī huī zulfoñ kī ghaTā dekh rahe haiñ
kuchh kam nahīñ ye shaiḳh-o-barahman kī karāmāt
ham gosht se nāḳhun ko judā dekh rahe haiñ
lag jā.egā sūraj ko gahan aaj yaqīnan
ruḳh ko tire zulfoñ se ghirā dekh rahe haiñ
ye baat rahe pesh-e-nazar aap ke 'gauhar'
ab rang-e-ġhazal log nayā dekh rahe haiñ
hum aaj bahut un ko KHafa dekh rahe hain
ai shoKHi-e-taqdir ye kya dekh rahe hain
ye aap ki pursish ka mila hai hamein inam
kuchh dard-e-mohabbat ko siwa dekh rahe hain
pahchan mein aate nahin pahchane hue log
badli hui duniya ki hawa dekh rahe hain
hum amn ke ghar mein hain magar ye bhi to sach hai
manDlati hui sar pe qaza dekh rahe hain
kuchh aur siwa ho gain be-tabiyan dil ki
kya KHub ye tasir-e-dua dekh rahe hain
har samt andhera hai andhera hai andhera
phaili hui zulfon ki ghaTa dekh rahe hain
kuchh kam nahin ye shaiKH-o-barahman ki karamat
hum gosht se naKHun ko juda dekh rahe hain
lag jaega suraj ko gahan aaj yaqinan
ruKH ko tere zulfon se ghira dekh rahe hain
ye baat rahe pesh-e-nazar aap ke 'gauhar'
ab rang-e-ghazal log naya dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.