hum aariz-e-taban bhul gae gesu-e-pareshan bhul gae
hum aariz-e-taban bhul gae gesu-e-pareshan bhul gae
Talha Rizvi Barq
MORE BYTalha Rizvi Barq
ham āriz-e-tābāñ bhuul ga.e gesū-e-pareshāñ bhuul ga.e
āshob-e-sahar rañgīnī-e-shām ai gardish-e-daurāñ bhuul ga.e
kuchh tum hī kaho ai ham-qafaso mahsūs ho kyoñ be-bāl-o-parī
ab ḳhanda-e-gul kā zikr hī kyā jab ahd-e-bahārāñ bhuul ga.e
siine meñ nahīñ jab qalb gudāz ai aah kahāñ se aa.e asar
parvāz-e-duā-e-nīm-shabī ham ashk-ba-dāmāñ bhuul ga.e
āġhosh-e-havādis meñ pal kar jo log uThe the mauj-sifat
āsūda-e-sāhil aise hue hangāma-e-tūfāñ bhuul ga.e
phūloñ kī mahak par sausan ne ye kah ke mujhe betāb kiyā
zanjīr-e-junūñ ke taale bhī kyā qaidi-e-zindāñ bhuul ga.e
hum aariz-e-taban bhul gae gesu-e-pareshan bhul gae
aashob-e-sahar rangini-e-sham ai gardish-e-dauran bhul gae
kuchh tum hi kaho ai ham-qafaso mahsus ho kyon be-baal-o-pari
ab KHanda-e-gul ka zikr hi kya jab ahd-e-bahaaran bhul gae
sine mein nahin jab qalb gudaz ai aah kahan se aae asar
parwaz-e-dua-e-nim-shabi hum ashk-ba-daman bhul gae
aaghosh-e-hawadis mein pal kar jo log uThe the mauj-sifat
aasuda-e-sahil aise hue hangama-e-tufan bhul gae
phulon ki mahak par sausan ne ye kah ke mujhe betab kiya
zanjir-e-junun ke tale bhi kya qaidi-e-zindan bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.