hum aashna-e-gham rahe firaq se visal tak
ham āshnā-e-ġham rahe firāq se visāl tak
dil-o-nazar baham rahe firāq se visāl tak
ham aur dard ishq kī latāfatoñ se āshnā
sharīk-e-chashm-e-nam rahe firāq se visāl tak
hamārī zindagī rahī misāl-e-mauja-e-sabā
ham itne mohtaram rahe firāq se visāl tak
quyūd-e-ijtināb meñ hudūd-e-ehtisāb meñ
na tum rahe na ham rahe firāq se visāl tak
jahān-e-ishq kī fazā havā charāġh aa.ina
hamāre ham-qadam rahe firāq se visāl tak
safar hamārī zaat kā rahīn-e-justujū rahā
ham apne ghar meñ kam rahe firāq se visāl tak
havā-e-shahr-e-ārzū harīf-e-ishq thī magar
charāġh tāza-dam rahe firāq se visāl tak
hum aashna-e-gham rahe firaq se visal tak
dil-o-nazar baham rahe firaq se visal tak
hum aur dard ishq ki latafaton se aashna
sharik-e-chashm-e-nam rahe firaq se visal tak
hamari zindagi rahi misal-e-mauja-e-saba
hum itne mohtaram rahe firaq se visal tak
quyud-e-ijtinab mein hudud-e-ehtisab mein
na tum rahe na hum rahe firaq se visal tak
jahan-e-ishq ki faza hawa charagh aaina
hamare ham-qadam rahe firaq se visal tak
safar hamari zat ka rahin-e-justuju raha
hum apne ghar mein kam rahe firaq se visal tak
hawa-e-shahr-e-arzu harif-e-ishq thi magar
charagh taza-dam rahe firaq se visal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.