hum ab jazbaat-o-ehsasat se ye kaam lete hain
ham ab jazbāt-o-ehsāsāt se ye kaam lete haiñ
kisī ke choT aa.e ham kaleja thaam lete haiñ
musalsal roz-o-shab kī gardishoñ se kaam lete haiñ
sukūn-e-sub.h se ham iztirāb-e-shām lete haiñ
samajhte haiñ adā-e-shukr ko hī kaif-o-sarmastī
tahī mai-ḳhāna-e-fitrat se jab ham jaam lete haiñ
sitam be-fikr ho kar banda-parvar kījiye ham par
ham apnī zaat par har baat kā ilzām lete haiñ
kiyā karte haiñ qaa.em surḳhiyāñ rūdād-e-ulfat kī
mire aañsū mire zaḳhmī jigar se kaam lete haiñ
qayāmat phir bapā hone lagī shauq-e-shahādat meñ
vo apne haath meñ phir teġh-e-ḳhūñ-āshām lete haiñ
mohabbat hai ḳhayāl-e-ḳhām lekin tere dīvāne
junūñ meñ raat din lutf-e-ḳhayāl-e-ḳhām lete haiñ
ye ulfat hai vo saudā jis meñ yūñhī hotī aa.ī hai
hamesha dil jo dete haiñ ġham-o-ālām lete haiñ
umīdeñ saḳht-jānī ban ga.ī haiñ varna ai 'nāmī'
ham apnī maut se paiġhām par paiġhām lete haiñ
hum ab jazbaat-o-ehsasat se ye kaam lete hain
kisi ke choT aae hum kaleja tham lete hain
musalsal roz-o-shab ki gardishon se kaam lete hain
sukun-e-subh se hum iztirab-e-sham lete hain
samajhte hain ada-e-shukr ko hi kaif-o-sarmasti
tahi mai-KHana-e-fitrat se jab hum jam lete hain
sitam be-fikr ho kar banda-parwar kijiye hum par
hum apni zat par har baat ka ilzam lete hain
kiya karte hain qaem surKHiyan rudad-e-ulfat ki
mere aansu mere zaKHmi jigar se kaam lete hain
qayamat phir bapa hone lagi shauq-e-shahadat mein
wo apne hath mein phir tegh-e-KHun-asham lete hain
mohabbat hai KHayal-e-KHam lekin tere diwane
junun mein raat din lutf-e-KHayal-e-KHam lete hain
ye ulfat hai wo sauda jis mein yunhi hoti aai hai
hamesha dil jo dete hain gham-o-alam lete hain
umiden saKHt-jaani ban gai hain warna ai 'nami'
hum apni maut se paigham par paigham lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.