hum agar mare gae apni jawani mein kahin
ham agar maare ga.e apnī javānī meñ kahīñ
naam likh denā mohabbat kī kahānī meñ kahīñ
kyoñ na is bhūle ko yaad aayā bhalā ghar kā patā
kuchh ḳhatā ham se huī yād-dahānī meñ kahīñ
kaun se des se niklā to huā pardesī
DhūñD purza kisī patlūn-e-purānī meñ kahīñ
des chhoḌā to har ik chiiz vahāñ chhoḌ aa.e
yuuñ bhī kartā hai koī naql-e-makānī meñ kahīñ
jin meñ mahfūz the yādoñ ke zaḳhīre mere
DhūñDhtā phirtā huuñ vo harf maiñ paanī meñ kahīñ
saare jazbe bhalā alfāz meñ aate kab haiñ
saarī bāteñ paḌhī jaatī haiñ ma.ānī meñ kahīñ
tez raftār 'rishī' pahle bhī thā par ab ke
kuchh ajab des vo pahuñchā hai ravānī meñ kahīñ
hum agar mare gae apni jawani mein kahin
nam likh dena mohabbat ki kahani mein kahin
kyon na is bhule ko yaad aaya bhala ghar ka pata
kuchh KHata hum se hui yaad-dahani mein kahin
kaun se des se nikla to hua pardesi
DhunD purza kisi patlun-e-purani mein kahin
des chhoDa to har ek chiz wahan chhoD aae
yun bhi karta hai koi naql-e-makani mein kahin
jin mein mahfuz the yaadon ke zaKHire mere
DhunDhta phirta hun wo harf main pani mein kahin
sare jazbe bhala alfaz mein aate kab hain
sari baaten paDhi jati hain maani mein kahin
tez raftar 'rishi' pahle bhi tha par ab ke
kuchh ajab des wo pahuncha hai rawani mein kahin
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 561)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.