hum ahl-e-dil hain samajhte hain aashiqi kya hai
ham ahl-e-dil haiñ samajhte haiñ āshiqī kyā hai
junūñ-nazīr batā.eñge bandagī kyā hai
charāġh āñkhoñ ke bujhte haiñ raat aate hī
shab-e-alam ke asīroñ ko raushnī kyā hai
atā-e-ḳhās hai terī mire liye yā-rab
ye harf-o-saut haiñ kyā aur āgahī kyā hai
kisī kī zulf-e-mo.ambar kā ab ḳhayāl kahāñ
hayāt meñ hai tavāzun ye dil-lagī kyā hai
ye iztirāb nahīñ us se ab judā ho kar
to phir batāo ki āñkhoñ meñ ye namī kyā hai
sitam nasīb kā hai gar vo rah gayā pīchhe
ḳhud-e'timād bashar hai to phir kamī kyā hai
mirā junūñ ye mujhe kis dayār meñ laayā
bikhar gayā hai vajūd apnā bebasī kyā hai
'azīm' sab se bahut ehtiyāt se milnā
kahāñ samajhte haiñ ab log dostī kyā hai
hum ahl-e-dil hain samajhte hain aashiqi kya hai
junun-nazir bataenge bandagi kya hai
charagh aankhon ke bujhte hain raat aate hi
shab-e-alam ke asiron ko raushni kya hai
ata-e-KHas hai teri mere liye ya-rab
ye harf-o-saut hain kya aur aagahi kya hai
kisi ki zulf-e-moambar ka ab KHayal kahan
hayat mein hai tawazun ye dil-lagi kya hai
ye iztirab nahin us se ab juda ho kar
to phir batao ki aankhon mein ye nami kya hai
sitam nasib ka hai gar wo rah gaya pichhe
KHud-e'timad bashar hai to phir kami kya hai
mera junun ye mujhe kis dayar mein laya
bikhar gaya hai wajud apna bebasi kya hai
'azim' sab se bahut ehtiyat se milna
kahan samajhte hain ab log dosti kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.