hum ahl-e-KHirad ki baaton se kuchh chain jahan mein pa na sake
hum ahl-e-KHirad ki baaton se kuchh chain jahan mein pa na sake
Shaida Ambalvi
MORE BYShaida Ambalvi
ham ahl-e-ḳhirad kī bātoñ se kuchh chain jahāñ meñ pā na sake
aaj aisī pilā de ai saaqī tā-hashr hameñ hosh aa na sake
haa.il thī idhar ḳhuddārī-e-dil maane thā ġhurūr-e-husn udhar
mahrūmī-e-qismat kyā kahiye ham jā na sake vo aa na sake
tark-e-ulfat kī bāteñ to samjhā.īñ bahut nāseh ne hameñ
jiine kā sahārā kyā hogā ye baat zarā samjhā na sake
hai kufr dayār-e-ulfat meñ ġham ke hāthoñ nālāñ honā
vo nām-e-mohabbat hī kyoñ le jo taab ġhamoñ kī lā na sake
dil sang-diloñ se jab uljhe qīmat us kī baḌh jaatī hai
us shīshe kī hai qadr hī kyā jo patthar se Takrā na sake
dil kī dhaḌkan par hotā hai dhokā qadmoñ kī aahaT kā
āvāz to aatī hai paiham phir kyoñ vo abhī tak aa na sake
uljhī huī gutthī milne kī kis taur sulajhtī ai hamdam
kuchh ham se koshish ho na sakī kuchh zahmat vo farmā na sake
kyā kyā na sitam ham par Dhaa.e apnoñ ne karam ke parde meñ
phir bhī ham is kā shikva tak ik baar zabāñ par lā na sake
vo is se ziyāda kyā karte 'shaidā' terī ġham-ḳhvārī meñ
aañsū to bahā.e āñkhoñ se kuchh muñh se magar farmā na sake
hum ahl-e-KHirad ki baaton se kuchh chain jahan mein pa na sake
aaj aisi pila de ai saqi ta-hashr hamein hosh aa na sake
hail thi idhar KHuddari-e-dil mane tha ghurur-e-husn udhar
mahrumi-e-qismat kya kahiye hum ja na sake wo aa na sake
tark-e-ulfat ki baaten to samjhain bahut naseh ne hamein
jine ka sahaara kya hoga ye baat zara samjha na sake
hai kufr dayar-e-ulfat mein gham ke hathon nalan hona
wo nam-e-mohabbat hi kyon le jo tab ghamon ki la na sake
dil sang-dilon se jab uljhe qimat us ki baDh jati hai
us shishe ki hai qadr hi kya jo patthar se Takra na sake
dil ki dhaDkan par hota hai dhoka qadmon ki aahaT ka
aawaz to aati hai paiham phir kyon wo abhi tak aa na sake
uljhi hui gutthi milne ki kis taur sulajhti ai hamdam
kuchh hum se koshish ho na saki kuchh zahmat wo farma na sake
kya kya na sitam hum par Dhae apnon ne karam ke parde mein
phir bhi hum is ka shikwa tak ek bar zaban par la na sake
wo is se ziyaada kya karte 'shaida' teri gham-KHwari mein
aansu to bahae aankhon se kuchh munh se magar farma na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.