hum ahl-e-qalam ahl-e-wafa ahl-e-nazar hain
ham ahl-e-qalam ahl-e-vafā ahl-e-nazar haiñ
ham shahr meñ rahte hue bhī shahr-badar haiñ
dohrā.egī jin nāmoñ ko tārīḳh tumhārī
is shahr meñ un logoñ ke TuuTe hue ghar haiñ
raa.ij huā ye kaun sā qānūn ki phir ab
sannāTā hai bāzāroñ meñ sunsān nagar haiñ
aisā bhī nahīñ vaqt ke tevar ko na samjhūñ
is daur ke hālāt mire pesh-e-nazar haiñ
aa.e to koī dast-e-sitam ahl-e-junūñ tak
ham log bhī ab apnī jagah sīna-sipar haiñ
dam toḌne vaalī hai mire shahr kī zulmat
jo zulm ke aivān the vo zer-o-zabar haiñ
aise bhī junūñ-pesha haiñ kuchh log jahāñ meñ
muddat se jo manzil ke liye garm-e-safar haiñ
kyā daur hai jo dīda-e-bīnā nahīñ rakhte
vo log bhī shā.ista-e-ādāb-e-nazar haiñ
tauqīr-o-satā.ish hai yahāñ be-hunaroñ kī
mahrūm-e-satā.ish haiñ to bas ahl-e-hunar haiñ
hum ahl-e-qalam ahl-e-wafa ahl-e-nazar hain
hum shahr mein rahte hue bhi shahr-badar hain
dohraegi jin namon ko tariKH tumhaari
is shahr mein un logon ke TuTe hue ghar hain
raij hua ye kaun sa qanun ki phir ab
sannaTa hai bazaron mein sunsan nagar hain
aisa bhi nahin waqt ke tewar ko na samjhun
is daur ke haalat mere pesh-e-nazar hain
aae to koi dast-e-sitam ahl-e-junun tak
hum log bhi ab apni jagah sina-sipar hain
dam toDne wali hai mere shahr ki zulmat
jo zulm ke aiwan the wo zer-o-zabar hain
aise bhi junun-pesha hain kuchh log jahan mein
muddat se jo manzil ke liye garm-e-safar hain
kya daur hai jo dida-e-bina nahin rakhte
wo log bhi shaista-e-adab-e-nazar hain
tauqir-o-sataish hai yahan be-hunaron ki
mahrum-e-sataish hain to bas ahl-e-hunar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.