hum ahl-e-zarf hain yun hi KHafa nahin hote
ham ahl-e-zarf haiñ yuuñ hī ḳhafā nahīñ hote
vafā-shi.ār kabhī bevafā nahīñ hote
kuchh aise aañsū bhī rahte haiñ merī palkoñ par
judā to hote haiñ phir bhī judā nahīñ hote
jo zaḳhm tum ne navāze haiñ be-sabab ham ko
kisī bhī dard kā vo mas.ala nahīñ hote
kahā ye kis ne kahāñ se ye sun ke aa.e ho
jo be-sahārā haiñ vo aasrā nahīñ hote
har ek gaam pe jo laḌkhaḌā.e rahte haiñ
ġhubār-e-rāh meñ vo rāsta nahīñ hote
charāġh to haiñ magar itne dhuñdle dhuñdle kyuuñ
'kiran' tumhāre to ye naqsh-e-pā nahīñ hote
hum ahl-e-zarf hain yun hi KHafa nahin hote
wafa-shiar kabhi bewafa nahin hote
kuchh aise aansu bhi rahte hain meri palkon par
juda to hote hain phir bhi juda nahin hote
jo zaKHm tum ne nawaze hain be-sabab hum ko
kisi bhi dard ka wo masala nahin hote
kaha ye kis ne kahan se ye sun ke aae ho
jo be-sahaara hain wo aasra nahin hote
har ek gam pe jo laDkhaDae rahte hain
ghubar-e-rah mein wo rasta nahin hote
charagh to hain magar itne dhundle dhundle kyun
'kiran' tumhaare to ye naqsh-e-pa nahin hote
- Book : Saugaat (Pg. 51)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.