hum aisa nahin ghar nahin aaenge
ham aisā nahīñ ghar nahīñ ā.eñge
magar ghar samajh kar nahīñ ā.eñge
jhagaḌne se pahle pata thā mujhe
mere log bāhar nahīñ ā.eñge
tire hī liye ā.eñge tere paas
kisī se bichhaḌ kar nahīñ ā.eñge
ye laḌke jo aa.e haiñ chhat kuud kar
bulāne se andar nahīñ ā.eñge
burā māniye to burā māniye
ijāzat to lekar nahīñ ā.eñge
inheñ bhī gale se lagātā chalūñ
ye dushman mayassar nahīñ ā.eñge
hum aisa nahin ghar nahin aaenge
magar ghar samajh kar nahin aaenge
jhagaDne se pahle pata tha mujhe
mere log bahar nahin aaenge
tere hi liye aaenge tere pas
kisi se bichhaD kar nahin aaenge
ye laDke jo aae hain chhat kud kar
bulane se andar nahin aaenge
bura maniye to bura maniye
ijazat to lekar nahin aaenge
inhen bhi gale se lagata chalun
ye dushman mayassar nahin aaenge
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 98)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.