hum aise log tera dar talash karte hain
ham aise log tirā dar talāsh karte haiñ
phir us ke baa'd muqaddar talāsh karte haiñ
bhaTakte phirte haiñ duniyā meñ zindagī kī tarah
ba-vaqt-e-shām magar ghar talāsh karte haiñ
tumhāre saath mayassar thī har ḳhushī ham ko
tumhāre baa'd to aksar talāsh karte haiñ
bikhar sī jaatī hai ye zindagī jahāñ aksar
nazar ko aise hī manzar talāsh karte haiñ
talāsh meñ nahīñ hoñge ye kāmyāb kabhī
yahāñ jo tujh se bhī behtar talāsh karte haiñ
ye gaañv us kī judā.ī meñ hai bahut ġhamgīñ
so us ko shahr meñ jā kar talāsh karte haiñ
hum aise log tera dar talash karte hain
phir us ke ba'd muqaddar talash karte hain
bhaTakte phirte hain duniya mein zindagi ki tarah
ba-waqt-e-sham magar ghar talash karte hain
tumhaare sath mayassar thi har KHushi hum ko
tumhaare ba'd to aksar talash karte hain
bikhar si jati hai ye zindagi jahan aksar
nazar ko aise hi manzar talash karte hain
talash mein nahin honge ye kaamyab kabhi
yahan jo tujh se bhi behtar talash karte hain
ye ganw us ki judai mein hai bahut ghamgin
so us ko shahr mein ja kar talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.