hum aise soe bhi kab the hamein jaga late
ham aise so.e bhī kab the hameñ jagā laate
kuchh ek ḳhvāb to shab-ḳhūn se bachā laate
ziyāñ to donoñ tarah se hai apnī miTTī kā
ham aab laate ki apne liye havā laate
pata jo hotā ki niklegā chāñd jaisā kuchh
ham apne saath sitāroñ ko bhī uThā laate
hameñ yaqīn nahīñ thā ḳhud apnī rañgat par
ham is zamīñ kī hathelī pe rañg kyā laate
bas aur kuchh bhī nahīñ chāhtā thā maiñ tum se
zarā sī chiiz thī duniyā kahīñ chhupā laate
hamāre azm kī shiddat agar samajhnī thī
to is safar meñ koī saḳht marhala laate
hum aise soe bhi kab the hamein jaga late
kuchh ek KHwab to shab-KHun se bacha late
ziyan to donon tarah se hai apni miTTi ka
hum aab late ki apne liye hawa late
pata jo hota ki niklega chand jaisa kuchh
hum apne sath sitaron ko bhi uTha late
hamein yaqin nahin tha KHud apni rangat par
hum is zamin ki hatheli pe rang kya late
bas aur kuchh bhi nahin chahta tha main tum se
zara si chiz thi duniya kahin chhupa late
hamare azm ki shiddat agar samajhni thi
to is safar mein koi saKHt marhala late
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.