hum aise zohra-jamalon mein Dub jate hain
ham aise zohra-jamāloñ meñ Duub jaate haiñ
un āñkhoñ meñ kabhī bāloñ meñ Duub jaate haiñ
jo muskurāne se bante haiñ gāloñ par Dimple
to ham tire inhīñ gāloñ meñ Duub jaate haiñ
kiyā hai paar samundar to bārhā ham ne
bas ek tere ḳhayāloñ meñ Duub jaate haiñ
chamakte ḳhuub hī dekhe siyāh rātoñ meñ
ye jugnū din ke ujāloñ meñ Duub jaate haiñ
javāb milte nahīñ hai kabhī koī ham ko
savāl bhī to savāloñ meñ Duub jaate haiñ
nivāloñ ke liye karte haiñ jo kaḌī mehnat
vo shaam hote piyāloñ meñ Duub jaate haiñ
'anīs' apnī vo manzil ko pā nahīñ sakte
jo apne paañv ke chhāloñ meñ Duub jaate haiñ
hum aise zohra-jamalon mein Dub jate hain
un aankhon mein kabhi baalon mein Dub jate hain
jo muskurane se bante hain galon par Dimple
to hum tere inhin galon mein Dub jate hain
kiya hai par samundar to barha hum ne
bas ek tere KHayalon mein Dub jate hain
chamakte KHub hi dekhe siyah raaton mein
ye jugnu din ke ujalon mein Dub jate hain
jawab milte nahin hai kabhi koi hum ko
sawal bhi to sawalon mein Dub jate hain
niwalon ke liye karte hain jo kaDi mehnat
wo sham hote piyalon mein Dub jate hain
'anis' apni wo manzil ko pa nahin sakte
jo apne panw ke chhaalon mein Dub jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.