hum ajnabi se ho gae apne hi ghar mein aaj
ham ajnabī se ho ga.e apne hī ghar meñ aaj
kyā dekhne kī chaah thī kyā hai nazar meñ aaj
us bevafā ke tīr-e-nazar ne kiyā ye kaam
nāsūr be-shumār haiñ mere jigar meñ aaj
khīñchte hī jā rahe haiñ barābar vo ham se kyoñ
ye kaisī kashmakash hai duā o asar meñ aaj
sochā thā āshiyāne meñ pā.eñge rāhateñ
lekin ghire haiñ halqa-e-barq-e-sharar meñ aaj
ai ahl-e-husn dekhiye parde meñ 'auj' ke
dīvāna aa rahā hai tumhāre nagar meñ aaj
hum ajnabi se ho gae apne hi ghar mein aaj
kya dekhne ki chah thi kya hai nazar mein aaj
us bewafa ke tir-e-nazar ne kiya ye kaam
nasur be-shumar hain mere jigar mein aaj
khinchte hi ja rahe hain barabar wo hum se kyon
ye kaisi kashmakash hai dua o asar mein aaj
socha tha aashiyane mein paenge rahaten
lekin ghire hain halqa-e-barq-e-sharar mein aaj
ai ahl-e-husn dekhiye parde mein 'auj' ke
diwana aa raha hai tumhaare nagar mein aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.