hum apna dil hi nahin jaan nisar karte hain
ham apnā dil hī nahīñ jaañ nisār karte haiñ
kisī kī zaat pe jab e.atibār karte haiñ
qadam baḌhā diyā izn-e-safar mile na mile
vo log aur haiñ jo intizār karte haiñ
kabhī nigāh-e-karam bhī huī to ġhairoñ par
huzūr aap hameñ kab shumār karte haiñ
tamām ranj-o-alam muskurā ke sah lenā
ye kaam sirf mohabbat-shi.ār karte haiñ
farāz-e-dār-o-rasan se buland na.ara-e-haq
ham aise ahl-e-junūñ bār-bār karte haiñ
siyāh shab ke parastār haiñ jo duniyā meñ
vo āftāb ko kab sharmsār karte haiñ
zabān-e-'mīr' se āhang-e-'dāġh'-o-'fānī' se
ġhazal ke husn ko ham bā-vaqār karte haiñ
ye raqs-e-sarv-o-saman naġhma-e-nasīm-e-sahar
nafas nafas ko mire lāla-zār karte haiñ
nabī kī shaan pa jo uñgliyāñ uThāte haiñ
siyāh qalb haiñ sūraj pe vaar karte haiñ
naqīb-e-amn-o-mohabbat raheñ hamesha 'nadīm'
yahī ḳhudā se duā bār-bār karte haiñ
hum apna dil hi nahin jaan nisar karte hain
kisi ki zat pe jab eatibar karte hain
qadam baDha diya izn-e-safar mile na mile
wo log aur hain jo intizar karte hain
kabhi nigah-e-karam bhi hui to ghairon par
huzur aap hamein kab shumar karte hain
tamam ranj-o-alam muskura ke sah lena
ye kaam sirf mohabbat-shiar karte hain
faraaz-e-dar-o-rasan se buland nara-e-haq
hum aise ahl-e-junun bar-bar karte hain
siyah shab ke parastar hain jo duniya mein
wo aaftab ko kab sharmsar karte hain
zaban-e-'mir' se aahang-e-'dagh'-o-'fani' se
ghazal ke husn ko hum ba-waqar karte hain
ye raqs-e-sarw-o-saman naghma-e-nasim-e-sahar
nafas nafas ko mere lala-zar karte hain
nabi ki shan pa jo ungliyan uThate hain
siyah qalb hain suraj pe war karte hain
naqib-e-amn-o-mohabbat rahen hamesha 'nadim'
yahi KHuda se dua bar-bar karte hain
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 57)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.