hum apne ahd se kuchh is liye bhi pichhe the
ham apne ahd se kuchh is liye bhī pīchhe the
hamāre sar pe purānī anā ke malbe the
ham aise vaqt meñ āvāz bhī kise dete
nazar ke sāmne kuchh Dūbte jazīre the
vo bujh gayā to chalā us kī ahmiyat kā pata
ki us kī aag se kitne charāġh jalte the
mujhe utaar ke ḳhud ko bachā liyā us ne
maiñ vo libās huuñ jis par lahū ke dhabbe the
tire qarīb se guzre to yuuñ lagā ham ko
bahut dinoñ se tirī bāzgasht sunte the
hamāre haal pe roī thī band khiḌkī bhī
havā ke haath kisī ne payām bheje the
hum apne ahd se kuchh is liye bhi pichhe the
hamare sar pe purani ana ke malbe the
hum aise waqt mein aawaz bhi kise dete
nazar ke samne kuchh Dubte jazire the
wo bujh gaya to chala us ki ahmiyat ka pata
ki us ki aag se kitne charagh jalte the
mujhe utar ke KHud ko bacha liya us ne
main wo libas hun jis par lahu ke dhabbe the
tere qarib se guzre to yun laga hum ko
bahut dinon se teri bazgasht sunte the
hamare haal pe roi thi band khiDki bhi
hawa ke hath kisi ne payam bheje the
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 50)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.