hum apne kheton mein hosh boenge fasl-awar hawas denge
hum apne kheton mein hosh boenge fasl-awar hawas denge
Ali Akbar Abbas
MORE BYAli Akbar Abbas
ham apne khetoñ meñ hosh bo.eñge fasl-āvar havās deñge
zamīñ ke nañge badan ko āḳhir pahāḌ kab tak libās deñge
farosh-gāhoñ se jins-e-tāza kabhī kī nāyāb ho chukī hai
ye kaar bā-iztirāb chamke ham apnī jānoñ kī raas deñge
ham āb-bardosh Dā.inoñ ke gale meñ kāñTe utaar deñge
ki un ke hoñToñ se ḳhuun barse kuchh aisī shiddat kī pyaas deñge
harārat-o-bārdat kī khojī havā.eñ mahv-e-safar raheñgī
badaltī rut kī ḳhabar hamesha tuyūr-e-mausam-shanās deñge
har aa.e mausam meñ koñpaloñ ko sipās-bār-āvarī milegā
to shāḳh-e-nā-varda-e-samar ko sazā-e-radd-e-sipās deñge
hum apne kheton mein hosh boenge fasl-awar hawas denge
zamin ke nange badan ko aaKHir pahaD kab tak libas denge
farosh-gahon se jins-e-taza kabhi ki nayab ho chuki hai
ye kar ba-iztirab chamke hum apni jaanon ki ras denge
hum aab-bardosh Dainon ke gale mein kanTe utar denge
ki un ke honTon se KHun barse kuchh aisi shiddat ki pyas denge
hararat-o-bardat ki khoji hawaen mahw-e-safar rahengi
badalti rut ki KHabar hamesha tuyur-e-mausam-shanas denge
har aae mausam mein konpalon ko sipas-bar-awari milega
to shaKH-e-na-warda-e-samar ko saza-e-radd-e-sipas denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.