hum apne KHun-e-dil se fasana banate hain
ham apne ḳhūn-e-dil se fasāna banāte haiñ
tanqīd kā vo phir bhī nishāna banāte haiñ
aatā hai jab bhī shahr meñ mausam fasād kā
ham ahl-e-ḳhair duur Thikāna banāte haiñ
hoñToñ pe tishnagī liye ham dauḌte rahe
ye ahl-e-mai-kada to bahāna banāte haiñ
tūl-e-shab-e-firāq kī jalvagarī na pūchh
tasbīh kā ham aañsū ko daana banāte haiñ
ahl-e-ḳhirad to vaqt ke dhāre meñ bah ga.e
ahl-e-junūñ to ek zamāna banāte haiñ
'rahbar' sar-e-niyāz jhukāne ke vāste
ham sang-e-dar ko apnā Thikāna banāte haiñ
hum apne KHun-e-dil se fasana banate hain
tanqid ka wo phir bhi nishana banate hain
aata hai jab bhi shahr mein mausam fasad ka
hum ahl-e-KHair dur Thikana banate hain
honTon pe tishnagi liye hum dauDte rahe
ye ahl-e-mai-kada to bahana banate hain
tul-e-shab-e-firaq ki jalwagari na puchh
tasbih ka hum aansu ko dana banate hain
ahl-e-KHirad to waqt ke dhaare mein bah gae
ahl-e-junun to ek zamana banate hain
'rahbar' sar-e-niyaz jhukane ke waste
hum sang-e-dar ko apna Thikana banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.