hum apne pas bhi rakhte the aan-ban kabhi
ham apne paas bhī rakhte the ān-bān kabhī
vo hukm hotā thā khultī thī jab zabān kabhī
jinheñ sameT diyā vaqt ke taqāzoñ se
unhīñ paroñ meñ falak-bos thī uḌaan kabhī
vo kaise log the palkeñ bichhā.e rahte the
paḌos meñ bhī jo aa jaa.e mehmān kabhī
jo qatl-o-ḳhūn kā bāzār band ho jaa.e
mirī zamīn bhī ho jaa.e āsmān kabhī
jo apne sar pe sadā sā.ebān rakhte haiñ
unheñ bhī dhuup meñ denā hai imtihān kabhī
rahe ḳhayāl ye 'jāved' dār-e-fānī meñ
jo hai vujūd to honā hai be-nishān kabhī
hum apne pas bhi rakhte the aan-ban kabhi
wo hukm hota tha khulti thi jab zaban kabhi
jinhen sameT diya waqt ke taqazon se
unhin paron mein falak-bos thi uDan kabhi
wo kaise log the palken bichhae rahte the
paDos mein bhi jo aa jae mehman kabhi
jo qatl-o-KHun ka bazar band ho jae
meri zamin bhi ho jae aasman kabhi
jo apne sar pe sada saeban rakhte hain
unhen bhi dhup mein dena hai imtihan kabhi
rahe KHayal ye 'jawed' dar-e-fani mein
jo hai wujud to hona hai be-nishan kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.