hum apne qisse ka aaghaz kya karte
ham apne qisse kā āġhāz kyā karte
na uTThī dard kī āvāz kyā karte
jhulas kar rah ga.e sab ātish-e-ġham meñ
parinde raat ko parvāz kyā karte
na thā āsūda-hālī kā nishāñ jis meñ
ham aisī zindagī par naaz kyā karte
sar-e-taslīm hāthoñ par liye bhāge
kuchh aisā us kā thā e'jāz kyā karte
mire hī ghar farishte raat ko utre
mirā hī dard thā mumtāz kyā karte
jo sadiyoñ se shikasta-par the zindāñ meñ
khule ākāsh meñ parvāz kyā karte
hum apne qisse ka aaghaz kya karte
na uTThi dard ki aawaz kya karte
jhulas kar rah gae sab aatish-e-gham mein
parinde raat ko parwaz kya karte
na tha aasuda-haali ka nishan jis mein
hum aisi zindagi par naz kya karte
sar-e-taslim hathon par liye bhage
kuchh aisa us ka tha e'jaz kya karte
mere hi ghar farishte raat ko utre
mera hi dard tha mumtaz kya karte
jo sadiyon se shikasta-par the zindan mein
khule aakash mein parwaz kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.