hum apni fikr ka chehra badal ke dekhte hain
ham apnī fikr kā chehra badal ke dekhte haiñ
tilism ḳhvāb se bāhar nikal ke dekhte haiñ
sunā ye hai ki bahut tez gaam ho tum log
tumhāre saath zarā ham bhī chal ke dekhte haiñ
uThā ke chāñd sitāroñ ko sar pe dekh chuke
ham apne māthe pe ab ḳhaak mal ke dekhte haiñ
zarā pata to chale husn-e-ahd-e-nau kyā hai
na.ī nigāh ke sāñche meñ Dhal ke dekhte haiñ
na.ī hayāt kī tasvīr dekhne vaale
had-e-nigāh se aage nikal ke dekhte haiñ
ye kaise dost haiñ pūchhe to koī un se zarā
sambhālte nahīñ lekin sambhal ke dekhte haiñ
yahāñ vahāñ to bahut jal chuke miyāñ 'qaisar'
ab apne dil kī samādhī pe jal ke dekhte haiñ
hum apni fikr ka chehra badal ke dekhte hain
tilism KHwab se bahar nikal ke dekhte hain
suna ye hai ki bahut tez gam ho tum log
tumhaare sath zara hum bhi chal ke dekhte hain
uTha ke chand sitaron ko sar pe dekh chuke
hum apne mathe pe ab KHak mal ke dekhte hain
zara pata to chale husn-e-ahd-e-nau kya hai
nai nigah ke sanche mein Dhal ke dekhte hain
nai hayat ki taswir dekhne wale
had-e-nigah se aage nikal ke dekhte hain
ye kaise dost hain puchhe to koi un se zara
sambhaalte nahin lekin sambhal ke dekhte hain
yahan wahan to bahut jal chuke miyan 'qaisar'
ab apne dil ki samadhi pe jal ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.