hum apni haqiqat kis se kahen hain pyase ki sairab hain hum
hum apni haqiqat kis se kahen hain pyase ki sairab hain hum
Mohammad Ahmad
MORE BYMohammad Ahmad
ham apnī haqīqat kis se kaheñ haiñ pyāse ki sairāb haiñ ham
ham sahrā haiñ aur jal-thal haiñ haiñ dariyā aur pāyāb haiñ ham
ab ġham koī na sarshārī bas chalne kī hai tayyārī
ab dhuup hai phailī āñgan meñ aur kachchī niiñd ke ḳhvāb haiñ ham
haañ sham-e-tamannā bujh bhī ga.ī ab dil tiira tārīk bahut
ab hiddat-e-ġham na josh-e-junūñ ai dasht-e-talab barfāb haiñ ham
ye tanhā.ī ye ḳhāmoshī taarā bhī nahīñ is shaam koī
kuchh daaġh sameTe siine meñ tanhā tanhā mahtāb haiñ ham
ham jis meñ Duub ke ubhre haiñ vo dariyā kaisā dariyā thā
ye kaisā ufuq hai jis kī athāh gahrā.ī meñ ġharqāb haiñ ham
ham misl-e-sharar haiñ jugnū haiñ ham tīra-shab ke aañsū haiñ
ham najm-e-sahar ham rashk-e-qamar haañ har sūrat shab-tāb haiñ ham
ik huzn-o-malāl kā sail-e-balā sab ḳhvāb bahā kar le bhī gayā
phir phuul khile man-āñgan meñ phir dekh hameñ shādāb haiñ ham
lākhoñ ham jaise milte haiñ nāyāb nahīñ haiñ ham 'ahmad'
haañ un ke liye jo dil se mile vo jānte haiñ kamyāb haiñ ham
hum apni haqiqat kis se kahen hain pyase ki sairab hain hum
hum sahra hain aur jal-thal hain hain dariya aur payab hain hum
ab gham koi na sarshaari bas chalne ki hai tayyari
ab dhup hai phaili aangan mein aur kachchi nind ke KHwab hain hum
han sham-e-tamanna bujh bhi gai ab dil tera tarik bahut
ab hiddat-e-gham na josh-e-junun ai dasht-e-talab barfab hain hum
ye tanhai ye KHamoshi tara bhi nahin is sham koi
kuchh dagh sameTe sine mein tanha tanha mahtab hain hum
hum jis mein Dub ke ubhre hain wo dariya kaisa dariya tha
ye kaisa ufuq hai jis ki athah gahrai mein gharqab hain hum
hum misl-e-sharar hain jugnu hain hum tira-shab ke aansu hain
hum najm-e-sahar hum rashk-e-qamar han har surat shab-tab hain hum
ek huzn-o-malal ka sail-e-bala sab KHwab baha kar le bhi gaya
phir phul khile man-angan mein phir dekh hamein shadab hain hum
lakhon hum jaise milte hain nayab nahin hain hum 'ahmad'
han un ke liye jo dil se mile wo jaante hain kamyab hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.