hum apni haqiqat se mukar jaenge ek din
ham apnī haqīqat se mukar jā.eñge ik din
kitnī bhī du'ā.eñ do pa mar jā.eñge ik din
harkat meñ har ik shai kī guzarne kā 'amal hai
ham ko bhī guzarnā hai guzar jā.eñge ik din
har sā’at-e-ā.inda is ummīd pe aa.ī
hālāt haiñ hālāt sañvar jā.eñge ik din
kuchh ḳhvāb haiñ āñkhoñ meñ to kuchh dil meñ umangeñ
ye sāġhar-o-mīnā bhī to bhar jā.eñge ik din
yuuñ hai ki bas ik silsila-e-radd-e-nafī hai
lagtā hai ki tum se bhī mukar jā.eñge ik din
'anjum' tū jahāñ jā ke abhī gosha-nashīñ hai
milne ko tujhe ahl-e-nazar jā.eñge ik din
hum apni haqiqat se mukar jaenge ek din
kitni bhi du'aen do pa mar jaenge ek din
harkat mein har ek shai ki guzarne ka 'amal hai
hum ko bhi guzarna hai guzar jaenge ek din
har sa’at-e-ainda is ummid pe aai
haalat hain haalat sanwar jaenge ek din
kuchh KHwab hain aankhon mein to kuchh dil mein umangen
ye saghar-o-mina bhi to bhar jaenge ek din
yun hai ki bas ek silsila-e-radd-e-nafi hai
lagta hai ki tum se bhi mukar jaenge ek din
'anjum' tu jahan ja ke abhi gosha-nashin hai
milne ko tujhe ahl-e-nazar jaenge ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.