hum apni jagti aankhon mein KHwab le ke chale
ham apnī jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb le ke chale
vo kyā savāl the jin ke javāb le ke chale
pahan lī karb kī poshāk rāh-e-hastī meñ
ham apne vāste ḳhud hī 'azāb le ke chale
ye aur baat ke jugnū asiir kar na sake
hatheliyoñ pe magar āftāb le ke chale
varaq varaq pe sajā.ī hai ḳhuun kī tahrīr
ki she'r she'r nayā intiḳhāb le ke chale
jidhar jidhar se bhī guzre bichhā diyā sailāb
ham ashk le ke chale yā chanāb le ke chale
unhī ke haath 'munavvar' lahūluhān hue
jo log mere chaman se gulāb le ke chale
hum apni jagti aankhon mein KHwab le ke chale
wo kya sawal the jin ke jawab le ke chale
pahan li karb ki poshak rah-e-hasti mein
hum apne waste KHud hi 'azab le ke chale
ye aur baat ke jugnu asir kar na sake
hatheliyon pe magar aaftab le ke chale
waraq waraq pe sajai hai KHun ki tahrir
ki she'r she'r naya intiKHab le ke chale
jidhar jidhar se bhi guzre bichha diya sailab
hum ashk le ke chale ya chanab le ke chale
unhi ke hath 'munawwar' lahuluhan hue
jo log mere chaman se gulab le ke chale
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 175)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.