hum apni ruh ke upar azab dekhte hain
ham apnī ruuh ke uupar azaab dekhte haiñ
ki roz tujh se bichhaḌne kā ḳhvāb dekhte haiñ
kabhī kabhī to hameñ bhī yaqīñ nahīñ aatā
ki ham bahār meñ jalte gulāb dekhte haiñ
tumhārī chashm-e-tamannā ko dekhne vaale
koī ḳhazāna-e-ġham zer-e-āb dekhte haiñ
bas ek aas ke rishte pe umr kaTtī hai
ki ḳhushk peḌ musalsal sarāb dekhte haiñ
jahāñ junūñ kī tamāzat pe harf aatā ho
ham us maqām pe ik inqalāb dekhte haiñ
hamāre qad kā tum andāza kyā lagāoge
ham aañkh muuñd ke sahrā meñ aab dekhte haiñ
ye shahr-e-ishq to 'āfāq' ho nahīñ saktā
ham is ilāqe kā mausam ḳharāb dekhte haiñ
hum apni ruh ke upar azab dekhte hain
ki roz tujh se bichhaDne ka KHwab dekhte hain
kabhi kabhi to hamein bhi yaqin nahin aata
ki hum bahaar mein jalte gulab dekhte hain
tumhaari chashm-e-tamanna ko dekhne wale
koi KHazana-e-gham zer-e-ab dekhte hain
bas ek aas ke rishte pe umr kaTti hai
ki KHushk peD musalsal sarab dekhte hain
jahan junun ki tamazat pe harf aata ho
hum us maqam pe ek inqalab dekhte hain
hamare qad ka tum andaza kya lagaoge
hum aankh mund ke sahra mein aab dekhte hain
ye shahr-e-ishq to 'afaq' ho nahin sakta
hum is ilaqe ka mausam KHarab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.