hum apni suraton se mumasil nahin rahe
ham apnī sūratoñ se mumāsil nahīñ rahe
ek umr aa.ine ke muqābil nahīñ rahe
majbūriyāñ kuchh aur hī lāhaq rahīñ hameñ
dil se tire ḳhilāf to ai dil nahīñ rahe
ab vaqt ne paḌhāye to paḌhne paḌe tamām
asbāq jo nisāb meñ shāmil nahīñ rahe
be-chehragī kā dukh bhī bahut hai magar ye ranj
ham terī ik nigāh ke qābil nahīñ rahe
umr-e-ravāñ ke moḌ pe kuchh ḳhvāb mere ḳhvāb
kho.e ga.e haiñ aise ki ab mil nahīñ rahe
apne liye hameñ kabhī fursat na mil sakī
us ko gila ki ham use hāsil nahīñ rahe
kyā raat thī ki shahr kī sūrat badal ga.ī
ham e'tibār-e-sub.h ke qābil nahīñ rahe
hum apni suraton se mumasil nahin rahe
ek umr aaine ke muqabil nahin rahe
majburiyan kuchh aur hi lahaq rahin hamein
dil se tere KHilaf to ai dil nahin rahe
ab waqt ne paDhaye to paDhne paDe tamam
asbaq jo nisab mein shamil nahin rahe
be-chehragi ka dukh bhi bahut hai magar ye ranj
hum teri ek nigah ke qabil nahin rahe
umr-e-rawan ke moD pe kuchh KHwab mere KHwab
khoe gae hain aise ki ab mil nahin rahe
apne liye hamein kabhi fursat na mil saki
us ko gila ki hum use hasil nahin rahe
kya raat thi ki shahr ki surat badal gai
hum e'tibar-e-subh ke qabil nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.