hum apni zat ke apni ana ke qaidi hain
ham apnī zaat ke apnī anā ke qaidī haiñ
dil-o-nazar ke darīche vafā ke qaidī haiñ
jo ho sake to 'atā kar uḌaan kī ḳhvāhish
abhī qafas meñ parinde jafā ke qaidī haiñ
dhanak jabhī to falak par dikhā.ī detī hai
zamīñ ke rang ye saare fazā ke qaidī haiñ
ye jānte hue miTTī meñ miTTī honā hai
ġhurūr karte haiñ jab ki fanā ke qaidī haiñ
'ajīb daur hai murda zamīr logoñ kā
'ajīb taur ke jurm-o-sazā ke qaidī haiñ
jo log maut ke muñh se bhī bach nikalte haiñ
ye maan lo ki vo maañ kī du'ā ke qaidī haiñ
ye jin kī āñkhoñ kī tuġhyāniyāñ nahīñ ruktīñ
furāt-o-dasht ke karb-o-balā ke qaidī haiñ
'rabāb' kis ko ḳhabar hai ki kab bulāvā ho
ye bāl-o-par to azal se qazā ke qaidī haiñ
hum apni zat ke apni ana ke qaidi hain
dil-o-nazar ke dariche wafa ke qaidi hain
jo ho sake to 'ata kar uDan ki KHwahish
abhi qafas mein parinde jafa ke qaidi hain
dhanak jabhi to falak par dikhai deti hai
zamin ke rang ye sare faza ke qaidi hain
ye jaante hue miTTi mein miTTi hona hai
ghurur karte hain jab ki fana ke qaidi hain
'ajib daur hai murda zamir logon ka
'ajib taur ke jurm-o-saza ke qaidi hain
jo log maut ke munh se bhi bach nikalte hain
ye man lo ki wo man ki du'a ke qaidi hain
ye jin ki aankhon ki tughyaniyan nahin ruktin
furaat-o-dasht ke karb-o-bala ke qaidi hain
'rabab' kis ko KHabar hai ki kab bulawa ho
ye baal-o-par to azal se qaza ke qaidi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.