hum azal se an-chahe zabton mein rahte hain
ham azal se an-chāhe zābtoñ meñ rahte haiñ
zindagī kā lālach hai qātiloñ meñ rahte haiñ
ham 'ajab musāfir haiñ rāstoñ se Darte haiñ
manziloñ kī ḳhvāhish hai aur gharoñ meñ rahte haiñ
aaj bhī rihā.ī ke kuchh bache-khuche jazbe
ham shikast ḳhurda ham jayyadoñ meñ rahte haiñ
DhūñDte haiñ apne kuchh gum-shuda irādoñ ko
ham ki apne ḳhvāboñ kī kirchiyoñ meñ rahte haiñ
kyoñ bichhaḌne vāloñ ke 'aks mar nahīñ sakte
kyoñ ye ashk āñkhoñ ke ā.inoñ meñ rahte haiñ
sar uThā ke chalne kā shauq ho jinheñ 'aḳhtar'
vo to dāstānoñ yā maqtaloñ meñ rahte haiñ
hum azal se an-chahe zabton mein rahte hain
zindagi ka lalach hai qatilon mein rahte hain
hum 'ajab musafir hain raston se Darte hain
manzilon ki KHwahish hai aur gharon mein rahte hain
aaj bhi rihai ke kuchh bache-khuche jazbe
hum shikast KHurda hum jayyadon mein rahte hain
DhunDte hain apne kuchh gum-shuda iradon ko
hum ki apne KHwabon ki kirchiyon mein rahte hain
kyon bichhaDne walon ke 'aks mar nahin sakte
kyon ye ashk aankhon ke aainon mein rahte hain
sar uTha ke chalne ka shauq ho jinhen 'aKHtar'
wo to dastanon ya maqtalon mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.