hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain
ham aziiz is qadar ab jī kā ziyāñ rakhte haiñ
dost bhī rakhte haiñ to dushman-e-jāñ rakhte haiñ
haañ vahī log jo dil-dāda-e-fasl-e-gul the
haiñ vo bezār ke armān-e-ḳhizāñ rakhte haiñ
zehn afsurda huā aisā ki a.asāb haiñ shal
varna ham nām-e-ḳhudā qalb javāñ rakhte haiñ
saa.e se karte haiñ ham apne kaḌī dhuup meñ oT
aañkh kī tīrgī meñ nūr-fishāñ rakhte haiñ
lab-e-mahbūb ho paimāna-e-sāfī ho ki zahr
jism jal uThtā hai ham hoñT jahāñ rakhte haiñ
ham-safar koī jahāñ chhoḌ ke chal detā hai
usī manzil kā laqab sang-e-girāñ rakhte haiñ
jis jagah dil thā vahāñ hasrat-e-dil baaqī hai
jis jagah zaḳhm thā ab sirf nishāñ rakhte haiñ
laḌkhaḌā jaate haiñ mai-ḳhāna ho jaise duniyā
laakh ham paañv sañbhal kar bhī yahāñ rakhte haiñ
un kī duzdīda nigāhoñ ko duā do 'shaukat'
varna ma.alūm jo ham tab-e-ravāñ rakhte haiñ
hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain
dost bhi rakhte hain to dushman-e-jaan rakhte hain
han wahi log jo dil-dada-e-fasl-e-gul the
hain wo bezar ke arman-e-KHizan rakhte hain
zehn afsurda hua aisa ki aasab hain shal
warna hum nam-e-KHuda qalb jawan rakhte hain
sae se karte hain hum apne kaDi dhup mein oT
aankh ki tirgi mein nur-fishan rakhte hain
lab-e-mahbub ho paimana-e-safi ho ki zahr
jism jal uThta hai hum honT jahan rakhte hain
ham-safar koi jahan chhoD ke chal deta hai
usi manzil ka laqab sang-e-giran rakhte hain
jis jagah dil tha wahan hasrat-e-dil baqi hai
jis jagah zaKHm tha ab sirf nishan rakhte hain
laDkhaDa jate hain mai-KHana ho jaise duniya
lakh hum panw sanbhal kar bhi yahan rakhte hain
un ki duzdida nigahon ko dua do 'shaukat'
warna malum jo hum tab-e-rawan rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.