hum bahut kam par bhi raazi ho gae
ham bahut kam par bhī raazī ho ga.e
ḳhvāhishoñ ke phuul baasī ho ga.e
sach bayāñ karnā baġhāvat hai agar
to samajh lo ham bhī bāġhī ho ga.e
kal jo daulat ke nashe meñ chuur the
un ke lahje ab savālī ho ga.e
'ishq meñ nākām hone vāloñ meñ
kuchh to pāgal kuchh sharābī ho ga.e
kis liye sahmī haiñ kaliyāñ kyā huā
gul fasurda kaise maalī ho ga.e
kyā laḌeñge zulm se 'yāsīn' vo
zulm sahne ke jo 'aadī ho ga.e
hum bahut kam par bhi raazi ho gae
KHwahishon ke phul basi ho gae
sach bayan karna baghawat hai agar
to samajh lo hum bhi baghi ho gae
kal jo daulat ke nashe mein chur the
un ke lahje ab sawali ho gae
'ishq mein nakaam hone walon mein
kuchh to pagal kuchh sharabi ho gae
kis liye sahmi hain kaliyan kya hua
gul fasurda kaise mali ho gae
kya laDenge zulm se 'yasin' wo
zulm sahne ke jo 'adi ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.