hum bayaban se gulistan ki taraf aa na sake
ham bayābāñ se gulistāñ kī taraf aa na sake
raġhbat-e-ḳhār rahī phuul hameñ bhā na sake
aaj tak rāh-e-haqīqat meñ rahe mere qadam
mujh ko badle hue hālāt bhī bahkā na sake
yuuñ to kahne ko numā.inda haiñ aslāf ke ham
un ke qadmoñ kī magar gard ko bhī pā na sake
in bahāroñ se ḳhudā duur hamesha rakkhe
jin se apne dil-e-bargashta ko bahlā na sake
dukh bhare din hoñ ki hoñ ġham kī bhayānak rāteñ
aaj tak ham kisī māhaul meñ ghabrā na sake
kaise insān se insān mileñge dil se
apne zehnoñ se jab auhām ke but Dhā na sake
aise jiine se to hāsil nahīñ kuchh faiz 'kamāl'
raushnī ban ke añdheroñ pe agar chhā na sake
hum bayaban se gulistan ki taraf aa na sake
raghbat-e-KHar rahi phul hamein bha na sake
aaj tak rah-e-haqiqat mein rahe mere qadam
mujh ko badle hue haalat bhi bahka na sake
yun to kahne ko numainda hain aslaf ke hum
un ke qadmon ki magar gard ko bhi pa na sake
in bahaaron se KHuda dur hamesha rakkhe
jin se apne dil-e-bargashta ko bahla na sake
dukh bhare din hon ki hon gham ki bhayanak raaten
aaj tak hum kisi mahaul mein ghabra na sake
kaise insan se insan milenge dil se
apne zehnon se jab auham ke but Dha na sake
aise jine se to hasil nahin kuchh faiz 'kamal'
raushni ban ke andheron pe agar chha na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.