hum be-wafa hain tum ho wafa-dar KHush raho
ham be-vafā haiñ tum ho vafā-dār ḳhush raho
sarkār ḳhush raho mirī sarkār ḳhush raho
le jaao apnī zulf ke saa.e sameT kar
ham ko bahut hai sāya-e-dīvār ḳhush raho
hone pe apne aap ke isrār kab kiyā
hone se ḳhud hameñ bhī hai inkār ḳhush raho
ham to faqat haiñ bhiiḌ baḌhāne ke vāste
tam ho binā-e-raunaq-e-bāzār ḳhush raho
tum ḳhush raho ki ab koī ḳhatra nahīñ tumheñ
ham ho chuke haiñ ḳhud meñ giraftār ḳhush raho
tum auratoñ pe ham ne hamesha sitam kiye
ham mard haiñ sadā ke jafā-kār ḳhush raho
be-vaj.h ġham kā Dhoñg rachāne se fā.eda
yuuñ bhī haiñ sab tumhāre parastār ḳhush raho
insāñ bhī ham ḳharāb haiñ shā'ir bhī haiñ ḳharāb
be-kār ye ġhazal hai ye ash'ār ḳhush raho
hum be-wafa hain tum ho wafa-dar KHush raho
sarkar KHush raho meri sarkar KHush raho
le jao apni zulf ke sae sameT kar
hum ko bahut hai saya-e-diwar KHush raho
hone pe apne aap ke israr kab kiya
hone se KHud hamein bhi hai inkar KHush raho
hum to faqat hain bhiD baDhane ke waste
tam ho bina-e-raunaq-e-bazar KHush raho
tum KHush raho ki ab koi KHatra nahin tumhein
hum ho chuke hain KHud mein giraftar KHush raho
tum auraton pe hum ne hamesha sitam kiye
hum mard hain sada ke jafa-kar KHush raho
be-wajh gham ka Dhong rachane se faeda
yun bhi hain sab tumhaare parastar KHush raho
insan bhi hum KHarab hain sha'ir bhi hain KHarab
be-kar ye ghazal hai ye ash'ar KHush raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.