hum begane ho jaenge
ham begāne ho jā.eñge
sach afsāne ho jā.eñge
dekhne vaalo jī bhar dekho
phir to zamāne ho jā.eñge
qisse tāza-dam rahte haiñ
log purāne ho jā.eñge
vaqt-e-ruḳhsat jānte na the
duur Thikāne ho jā.eñge
itnī mohabbat karne vaale
haañ dīvāne ho jā.eñge
har sach kā iz.hār na karnā
sab anjāne ho jā.eñge
vo chāheñ to mushkil kyā hai
laakh bahāne ho jā.eñge
jaañ qurbān to hogī hī jab
dil nazrāne ho jā.eñge
ham ko to ummīd thī 'āmir'
aap siyāne ho jā.eñge
hum begane ho jaenge
sach afsane ho jaenge
dekhne walo ji bhar dekho
phir to zamane ho jaenge
qisse taza-dam rahte hain
log purane ho jaenge
waqt-e-ruKHsat jaante na the
dur Thikane ho jaenge
itni mohabbat karne wale
han diwane ho jaenge
har sach ka izhaar na karna
sab anjaane ho jaenge
wo chahen to mushkil kya hai
lakh bahane ho jaenge
jaan qurban to hogi hi jab
dil nazrane ho jaenge
hum ko to ummid thi 'amir'
aap siyane ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.