hum bhi apne shahr mein yaro phirte the farhad bane
ham bhī apne shahr meñ yaaro phirte the farhād bane
kyā kyā ishq rachāyā barsoñ likkheñ to rūdād bane
jin āñkhoñ ko paḌhte paḌhte ġhazleñ kahnā siikh ga.e
ab un āñkhoñ ke afsāne bhūlī-bisrī yaad bane
saare panchhī pañkh sameTe Dālī-Dālī baiThe haiñ
jis kā jī ho jaal bichhā.e jo chāhe sayyād bane
shāh-jahāñ kā tāj-mahal ho yā jogī kī kuTiyā ho
sapnoñ ke har rūp-nagar kī miTTī hī buniyād bane
ġhazleñ kahnā sahl na jaano ye lafzoñ kā khel nahīñ
barsoñ ham ne zahr piyā hai shā.ir us ke baa'd bane
'qaisar' merī ġhazleñ āḳhir kis ke ġham meñ Duubī haiñ
jab kāġhaz par likh kar dekhūñ har naġhma fariyād bane
hum bhi apne shahr mein yaro phirte the farhad bane
kya kya ishq rachaya barson likkhen to rudad bane
jin aankhon ko paDhte paDhte ghazlen kahna sikh gae
ab un aankhon ke afsane bhuli-bisri yaad bane
sare panchhi pankh sameTe Dali-Dali baiThe hain
jis ka ji ho jal bichhae jo chahe sayyaad bane
shah-jahan ka taj-mahal ho ya jogi ki kuTiya ho
sapnon ke har rup-nagar ki miTTi hi buniyaad bane
ghazlen kahna sahl na jaano ye lafzon ka khel nahin
barson hum ne zahr piya hai shair us ke ba'd bane
'qaisar' meri ghazlen aaKHir kis ke gham mein Dubi hain
jab kaghaz par likh kar dekhun har naghma fariyaad bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.