hum bhi diwane tum bhi diwane
ham bhī dīvāne tum bhī divāne
dekh rahe haiñ ḳhvāb suhāne
jangal jangal sahrā sahrā
ham bhī ga.e the ḳhaak uḌāne
shab bhar jaane niiñd kahāñ thī
sub.h ko aa.ī rasm nibhāne
ik shā.ir kī maut huī hai
kis ko bulā.eñ na.ash uThāne
dāman par kuchh daaġh lage phir
nikle jo ik daaġh miTāne
shahr meñ kis ko apnā kaheñ ham
dard hamārā koī na jaane
aaj 'ziyā' phir yaad vo aa.e
risne lage haiñ zaḳhm purāne
hum bhi diwane tum bhi diwane
dekh rahe hain KHwab suhane
jangal jangal sahra sahra
hum bhi gae the KHak uDane
shab bhar jaane nind kahan thi
subh ko aai rasm nibhane
ek shair ki maut hui hai
kis ko bulaen nash uThane
daman par kuchh dagh lage phir
nikle jo ek dagh miTane
shahr mein kis ko apna kahen hum
dard hamara koi na jaane
aaj 'ziya' phir yaad wo aae
risne lage hain zaKHm purane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.