hum bhi ek zamane tak hadson se khele hain
ham bhī ik zamāne tak hādsoñ se khele haiñ
ġham uThā.e haiñ paiham dard ham ne jhele haiñ
uf ye dasht-paimā.ī uf ye ābla-pā.ī
jāda-e-mohabbat meñ kis qadar jhamele haiñ
tum se dil lagāne kī ye sazā milī mujh ko
ranj-o-ġham kī yūrish hai hasratoñ ke rele haiñ
do diloñ ko aa.e to kis tarah qarār aa.e
tum vahāñ akelī ho ham yahāñ akele haiñ
dekh kar mirā chehra ab nazar churātī ho
yaad hogā bachpan meñ donoñ saath khele haiñ
ik gharauñdā miTTī kā jo kabhī banāyā thā
aaj mere hāthoñ meñ us ke chañd Dhele haiñ
ruuh mutma.in ho aur dil ho dard se ḳhālī
phir to jis taraf dekho zindagī ke mele haiñ
hum bhi ek zamane tak hadson se khele hain
gham uThae hain paiham dard hum ne jhele hain
uf ye dasht-paimai uf ye aabla-pai
jada-e-mohabbat mein kis qadar jhamele hain
tum se dil lagane ki ye saza mili mujh ko
ranj-o-gham ki yurish hai hasraton ke rele hain
do dilon ko aae to kis tarah qarar aae
tum wahan akeli ho hum yahan akele hain
dekh kar mera chehra ab nazar churaati ho
yaad hoga bachpan mein donon sath khele hain
ek gharaunda miTTi ka jo kabhi banaya tha
aaj mere hathon mein us ke chand Dhele hain
ruh mutmain ho aur dil ho dard se KHali
phir to jis taraf dekho zindagi ke mele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.