hum bhi kahan chaman ki hifazat ko aa gae
ham bhī kahāñ chaman kī hifāzat ko aa ga.e
ḳhud bāġhbāñ hamārī adāvat ko aa ga.e
bāzār phailne jo lagā ghar meñ har taraf
rishte sabhī lapak ke tijārat ko aa ga.e
har vaqt aib sab ke gināne meñ ham rahe
phir ek roz ham hī sharāfat ko aa ga.e
avval harām-ḳhor sabhī apne mulk meñ
aalī janāb ho ke qayādat ko aa ga.e
kyoñ na siyāh rāteñ ujāloñ se hārtīñ
jab sab diye havā se baġhāvat ko aa ga.e
pur-lutf zindagī ke liye thā yahī bahut
donoñ zarā zarā sā mohabbat ko aa ga.e
mil kar sabhī ne pahle to bīmār kar diyā
phir saare dost merī ayādat ko aa ga.e
hum bhi kahan chaman ki hifazat ko aa gae
KHud baghban hamari adawat ko aa gae
bazar phailne jo laga ghar mein har taraf
rishte sabhi lapak ke tijarat ko aa gae
har waqt aib sab ke ginane mein hum rahe
phir ek roz hum hi sharafat ko aa gae
awwal haram-KHor sabhi apne mulk mein
aali janab ho ke qayaadat ko aa gae
kyon na siyah raaten ujalon se haartin
jab sab diye hawa se baghawat ko aa gae
pur-lutf zindagi ke liye tha yahi bahut
donon zara zara sa mohabbat ko aa gae
mil kar sabhi ne pahle to bimar kar diya
phir sare dost meri ayaadat ko aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.