hum bhi kuchh kuchh KHarab ho jaen
ham bhī kuchh kuchh ḳharāb ho jaa.eñ
duur saare hijāb ho jaa.eñ
chāñd bādal kī oT se nikle
ġham ye saare naqāb ho jaa.eñ
kuchh to apnī nazar bhī āvāra
kuchh ab vo māhtāb ho jaa.eñ
kaun phir un se dil kī baat kahe
jab vo aalī janāb ho jaa.eñ
chhū ke nikleñ jo tere hoñToñ ko
lafz saare gulāb ho jaa.eñ
dhāñdlī kar ke hī sahī lekin
ham tirā intiḳhāb ho jaa.eñ
vo to devī hai husn kī 'ashraf'
us ko dekhe savāb ho jaa.eñ
hum bhi kuchh kuchh KHarab ho jaen
dur sare hijab ho jaen
chand baadal ki oT se nikle
gham ye sare naqab ho jaen
kuchh to apni nazar bhi aawara
kuchh ab wo mahtab ho jaen
kaun phir un se dil ki baat kahe
jab wo aali janab ho jaen
chhu ke niklen jo tere honTon ko
lafz sare gulab ho jaen
dhandli kar ke hi sahi lekin
hum tera intiKHab ho jaen
wo to dewi hai husn ki 'ashraf'
us ko dekhe sawab ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.