hum bhi rahi tum bhi rahi kaun kis ka aashna
ham bhī raahī tum bhī raahī kaun kis kā āshnā
rāste kī baat hai phir hoñge sab nā-āshnā
lazzat-e-āsūdgī yā ḳhvāb hai yā vāhima
būñd-bhar tahvīl apnī pyaas dariyā-āshnā
nā-muvāfiq vaqt ne gherā hameñ jis moḌ par
the vahāñ ham-shakl sab nā-āshnā kyā āshnā
ham-ḳhayālī hī na ho to dostī kā zikr kyā
ham ki sāda-lauh Thahre aap duniyā-āshnā
be-takalluf guftugū hotī Thahāke gūñjte
is parā.e shahr meñ hotā jo apnā āshnā
har taraf be-e'tibārī kā 'ajab māhaul thā
ajnabī niklā vahī jis jis ko samjhā āshnā
be-kasī kī chilchilātī dhuup ho jab raah meñ
maañ ke saa.e se ziyāda kaun sachchā āshnā
hum bhi rahi tum bhi rahi kaun kis ka aashna
raste ki baat hai phir honge sab na-ashna
lazzat-e-asudgi ya KHwab hai ya wahima
bund-bhar tahwil apni pyas dariya-ashna
na-muwafiq waqt ne ghera hamein jis moD par
the wahan ham-shakl sab na-ashna kya aashna
ham-KHayali hi na ho to dosti ka zikr kya
hum ki sada-lauh Thahre aap duniya-ashna
be-takalluf guftugu hoti Thahake gunjte
is parae shahr mein hota jo apna aashna
har taraf be-e'tibari ka 'ajab mahaul tha
ajnabi nikla wahi jis jis ko samjha aashna
be-kasi ki chilchilati dhup ho jab rah mein
man ke sae se ziyaada kaun sachcha aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.