hum bhi the gosha-gir ki gumnam the bahut
ham bhī the gosha-gīr ki gumnām the bahut
is tarz-e-zīst meñ magar ārām the bahut
duniyā hai kār-ḳhāna-e-vahm-o-gumāñ tamām
sachche vahī fasāne the jo aam the bahut
ḳhud apne iztirār-e-tabī.at se tañg the
ham jo shikār-e-gardish-e-ayyām the bahut
lipTī rahī to sar-basar asrār thī vo zulf
khultī kabhī to us ke bhī paiġhām the bahut
ik umr tajrabāt meñ guzrī to ye khulā
yaañ āzmūda-kār hī nākām the bahut
hum bhi the gosha-gir ki gumnam the bahut
is tarz-e-zist mein magar aaram the bahut
duniya hai kar-KHana-e-wahm-o-guman tamam
sachche wahi fasane the jo aam the bahut
KHud apne iztirar-e-tabiat se tang the
hum jo shikar-e-gardish-e-ayyam the bahut
lipTi rahi to sar-basar asrar thi wo zulf
khulti kabhi to us ke bhi paigham the bahut
ek umr tajrabaat mein guzri to ye khula
yan aazmuda-kar hi nakaam the bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.