hum chal diye to raste hamwar ho gae
ham chal diye to rāste hamvār ho ga.e
aur ruk ga.e to sāya-e-dīvār ho ga.e
ab kyā piyeñ sharāb ki saaqī ba-qadr-e-zarf
tujh se nazar milā ke gunahgār ho ga.e
daur-e-ḳhizāñ meñ jin ko thā dīvāngī kā shauq
fasl-e-bahār aate hī hoshiyār ho ga.e
ahl-e-zamīñ ko dekh ke kuchh sākinān-e-arsh
hairāñ hue to naqsh-ba-dīvār ho ga.e
tā-umr sochte hī rahe ham ki zindagī
hai kyā azaab jis meñ giraftār ho ga.e
āvāz dī thī maut ko ye kaun aa gayā
ham phir se zindagī ke talabgār ho ga.e
'nashtar' ḳhayāl-e-gesū-e-jānāñ liye hue
aa.ī kuchh aisī niiñd ki bedār ho ga.e
hum chal diye to raste hamwar ho gae
aur ruk gae to saya-e-diwar ho gae
ab kya piyen sharab ki saqi ba-qadr-e-zarf
tujh se nazar mila ke gunahgar ho gae
daur-e-KHizan mein jin ko tha diwangi ka shauq
fasl-e-bahaar aate hi hoshiyar ho gae
ahl-e-zamin ko dekh ke kuchh sakinan-e-arsh
hairan hue to naqsh-ba-diwar ho gae
ta-umr sochte hi rahe hum ki zindagi
hai kya azab jis mein giraftar ho gae
aawaz di thi maut ko ye kaun aa gaya
hum phir se zindagi ke talabgar ho gae
'nashtar' KHayal-e-gesu-e-jaanan liye hue
aai kuchh aisi nind ki bedar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.