hum charaghon ko hawaon se Daraata kya hai
ham charāġhoñ ko havāoñ se Darātā kyā hai
jab ki jīvan meñ siyah shab se ziyāda kyā hai
zinda rahne ke liye pūchh asāsa kyā hai
ik udāsī ke sivā daulat-e-uzmā kyā hai
jin ko jiine kī tamanna hai na ḳhvāhish koī
un ko ai ziist batā terā taqāzā kyā hai
dasht-e-insān meñ logoñ ko hai bas apnī paḌī
kaun suntā hai yahāñ shor machātā kyā hai
tai hai bāzār-e-mohabbat meñ ḳhasāra honā
yuuñ to hai jins magar mol vafā kā kyā hai
ye shab-o-roz jahāñ ġham bhī ḳhushī bhī merī
in meñ vā'iz ye batā de ki ḳhudā kā kyā hai
hum charaghon ko hawaon se Daraata kya hai
jab ki jiwan mein siyah shab se ziyaada kya hai
zinda rahne ke liye puchh asasa kya hai
ek udasi ke siwa daulat-e-uzma kya hai
jin ko jine ki tamanna hai na KHwahish koi
un ko ai zist bata tera taqaza kya hai
dasht-e-insan mein logon ko hai bas apni paDi
kaun sunta hai yahan shor machata kya hai
tai hai bazar-e-mohabbat mein KHasara hona
yun to hai jins magar mol wafa ka kya hai
ye shab-o-roz jahan gham bhi KHushi bhi meri
in mein wa'iz ye bata de ki KHuda ka kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.