hum chor nahin hain na uTha tu hamein dar se
ham chor nahīñ haiñ na uThā tū hameñ dar se
kuchh bhaag nahīñ jā.eñge le kar tire ghar se
kis tarah nikālūñ tire nāvak ko jigar se
mehmāñ ko nikālā hai kisī ne kahīñ ghar se
ye dekhte jaate haiñ koī dekh na paa.e
aate haiñ mire ghar ko jo vo ġhair ke ghar se
avval to tire kūche meñ jaane nahīñ paatā
aur jaatā hai koī to kafan bāñdh ke sar se
sahrā meñ hai yā koh meñ hai kuchh nahīñ ma.alūm
'mahmūd' ko muddat huī nikle hue ghar se
hum chor nahin hain na uTha tu hamein dar se
kuchh bhag nahin jaenge le kar tere ghar se
kis tarah nikalun tere nawak ko jigar se
mehman ko nikala hai kisi ne kahin ghar se
ye dekhte jate hain koi dekh na pae
aate hain mere ghar ko jo wo ghair ke ghar se
awwal to tere kuche mein jaane nahin pata
aur jata hai koi to kafan bandh ke sar se
sahra mein hai ya koh mein hai kuchh nahin malum
'mahmud' ko muddat hui nikle hue ghar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.